
Offline activity me media files ko check kiya jata hai aur online activity ko check karne ke liye browser data plus browser history se pata kiya ja sakta hai.

In hindi, how to check recent activity in your PC: Recent activity ko offline aur online mode me check kiya ja sakta hai.

Jo bhi gatividiyan offline mode me ki jati hai, un sabhi ko ek hi jagah par access karke dekha ja sakta hai jisse aap apne data ko password ki madad se safe aur secure kar sakta hai. Linux OS aur MacBook me bhi recent activity ka pata lagaya ja sakta hai lekin uske liye different method use karna padta hai.

Kya aap ne kabhi dekha hai ki aap ki gair maujudgi me aapke laptop ka misuse to nahi ho raha hai? Jaisa ki aap jante hai ki computer par jab bhi koi activity hoti hai to windows operating system us activity ko record karta hai jis se hame ye pata chalta hai ki hamare PC par konsi activity hui hai.
